Thursday, January 3, 2008

kyon?

Mudat ho gayi unn tanhaayion ko gujre,
Aaj bhi in aankhon mein woh khamoshiya kyon hai?


Chun chunke jiski yaadon ko apne jeevan se nikaala maine
Mere dil par aaj bhi uski parchai kyon hai?

Thod diya jisne yakeen mohabbath se mera
Woh shaks aaj bhi pyaar ke kabil kyon hai?

Raas na aayi jisko chaahath meri
Aaj bhi woh mere din aur raath main shaamil kyon hai?

Khatham ho gaya jo rishta woh aaj bhi saans le raha hai
Mere varthamaan mein jeevit woh aaj bhi mera ateeth kyon hai

No comments: